A poem by a soldier in hindi

                Life of army man 


Un thandi pahadiyo me rehkar to 
Dekho 
Din bhar dhoop me jal kar to 
Dekho 
Apno ki yaad me tadapkar to
Dekho 
Vatan k liye apni jaan hatheli pr 
Rakh kr to dekho

Apne liye to sab jeete h 
Zindgi k maine badal jaenge yaaro 
Bs ek din vatan k liye jeekr to 
Dekho
Kaise yaad krty h mujhe mere apne ,
Kbhi apno se dur jakr to dekho 

Apne desh ki mati lgalo yaaro 
Maut se darna bhul jaoge ,
Bharat mata k kadam chum kr 
To dekho 

Musibat me sab yaad kr lete h 
Hume 
Kbhi Kpni khushi me hume shamil
Kr K to dekho 
Itna majbut bankr to dekho ,
Kbhi khud bhi musibat me ladkr
To dekho 

Kabhi us tirange ko jhukne na 
Dena 
Mehnat bekar hojaegi yaro ,
Kbhi border pr mar kr dekh 
Lena,
Tirange k maan k liye 
Desh ki shan k liye 
Ladte h hum yaaro 
Tum ek din desh k liye ladkr
To dekho 


Hindu muslim k fark ko hatakr to
Dekho 
Zindgi jeene ka maza aajaega yaro 
Indian army me aakr to 
Dekho🇮🇳🇮🇳🇮🇳
                   Jai hind 

Comments

Popular posts from this blog

Sakhiyaan song lyrics translate in hindi

Himalaya purifying neem pack review

Advantages and disadvantages of E-mail in points